SHER E KHUDA HAZRAT ALI (A.S) FARMANS
 

Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 

Jahan Sadaaqat (Sachai)Aur Khuloos 
Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka 
Hath Barhao Warna Tumhari Tanhaee
Tumhari Behtreen Saathi Hai. 
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
“Apne Behtareen Waqt Ko NAMAZ Ke Liye Waqf Karo, Kyun Ke
Tumhare Sab Kaam Tumhari NAMAZ Ke Baais Qabool Honge.” 
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
‘‘Insan dukh nahi detay insanon se wabista umeeden dukh deti hen
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
3 Banday 3 Cheezon Se
Mehroom Rahen Gey.
1- Gussey Wala Durust Faislay Se.
2- Jhoota Izzat Se.
3- Jald Baaz Kamyabi Se,
Mehroom Rahe Ga.
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
3 Kaam Kisi Kay DiL Main
Aap Ki Izzat Barhatay Hain.
1- Salam Karna.
2- Kisi Ko Jagah Dena.
3- Asal Naam Se Pukarna.
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
“Har INSAN Ki Izzat Aur Us Se Mohabbat Karo,
Kyun Ke Har INSAN Ke Ander KHUDA Ki
Koi Na Koi Sift Zaroor Moujood Hoti Hai.”
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
“Tum Acha Karo Aur Zamana Tum Ko Bura Samjhe,
Yeh Tumhare Haq Main Behtar Hai. Bajaye Iss Kay,
Ke Tum Bura Karo Aur Zamana Tum Ko Acha Samjhe.”
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
“Kabhi Apne Dost Ki Sachai Ka Imtehan Na Lo,
Kya Pata Us Waqt Woh Majboor Ho,
Aur Tum Aik Acha Dost Kho Betho.”
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
Gunah Par Nidamat Gunah Ko Mita Deti Hai,
Aur Neki Par Guroor Neki Ko Tabah K
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
Aap Kabhi Kisi Ki Madad Kartay Waqt 
Ye Na Socho K Wo Haqdar H K Nahi 
Kyu K Ho Sakta H ALLAH Ne Aap Ko Bohat 
Si Aisi Chezoon Se Nawaza Ho 
Jin K Ap Haqdar Na Hon,
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) 
Se Kisi Ne Poocha Ke,
DOST Aur BHAI Main Kiya Faraq Hai??
Aap Ne Farmaya:
Ke BHAI SONA Aur DOST HEERA Hai.
Phir Us Ne Poocha Ke,
SONAY Aur HEERAY Main Kya Faraq Hai??
Aap Ne Jawab Diya:
SONA Toot Ke Phir Ban Sakta Hai,
Lekin HEERA Nahin..
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
Insan Bhi Kitna Ajeeb Hai, Jab Kisi Cheez Se Darta Hai,Tou Us Se Door Bhaagta Hai. Jab KHUDA Se Darta Hai,Tou Uss Kay Aur Nazdeek Ho Jata Hai.
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
Jab Aankhen Nafs Ki Pasandeda Cheezain Dekhne Lagen,Tou DiL Anjaam Se Andha Ho Jata Hai.
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
Gunah Par Nidamat Gunah Ko Mita Deti Hai,
Aur Neki Par Guroor Neki Ko Tabah Kar Deta Hai.
 
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya, 
Gulaab Kay Phool Ki Manind Ban Jao Kyun Ke,
Yeh Phool Us Ke Hathon Main Bhi Khushbu Chhor Jata Hai,Jo Issay Masal Kar Phaink Deta Hain.
 
The World's Most Famous 811 th Urs Mubarak Beginning 18/ jan / 2023 to 2 feb / 2023 Urs Festival Ajmer Sharif Dargah in Rajasthan India Darbar Khwaja Baba (r.a) Flag Ceremony 18/ jan / 2023 Urs Begins 24/ jan / 2023 Jannati Darwaza will open 24/ jan / 2023 Jannati darwaza will be closed 29 / jan / 2023  Chhati Sharif (Annual Fateha) Jannati Darwaza will be closed or 29/ jan / 2023 Urs Namaz-E-Jumma 27 / jan / 2023 Urs Bara Qul 1 / feb / 2023   
Duago All Devotees Chief Moallim Hazrat Khwaja Syed Moinuddin Hasan Chishty(R.A.) Khas Gaddi-Nashin
Syed Haider Nawaz Chishty S/O HAJI M. Shah Syed Shah Nawaz Chishty
CHISHTY MANZIL (ZIA HOUSE) P.O.BOX 109,Dargah Ajmer Sharif,
{Raj} (INDIA) Pin Code:305001

Bank Details :-
Donate- Bank of Maharashtra
Account name - Syed Haider Nawaz Chishty
Account no: 60372735434
IFSC - MAHB0001231 MICR Code: 305014002

Donate - Bank of Baroda
Account Name- Syed haider Nawaz Chishty
Account No. - 01230100036704 (Ajmer Branch)
Swift Code: -
(Micr Code:- 305012002) (IFSC Code :- BARB0AJMERX)
( Ajmer Branch )
Branch Name Prithvi Raj Marg Ajmer
Ajmer. 305001 (Raj) India

 

The Dargah of Khwaja Moin-ud-din Chishty, AjmerSharif Ajmer Sharif,situated in the heart of Rajasthan, is the place of the holy dargah of Khwaja Moin-ud-din Chisti

    Contact Person:- Syed Haider Nawaz Chishty
    Mobile No.:- +91 8000956411
    Email ID:- chishtyhayder82@gmail.com